Saturday, September 18, 2010

Haan ki Talaash

Wo muskaya mann he mann,
uska bhagwaan to keval dhan,
aas paas ke logo se karne laga bakwaas,
na na, thoo thoo jab hone lagi,
to karne laga haan ki talaash.


jab nahin mila manchaha haan,
ab dhoondhu kidhar,ab jaaun kahan,
weh jaaye jidhar,jahan kare nazar,
dhan ke bhakshi ka wahin basar,
kahin se koi chamcha aa jaaye kaash,
to kahin poori ho merri haan ki talaash.


chamcho ka ambaar laga,
tab haan ka wahan vyapaar laga,
uski wah waahi jab hone lagi,
nahi pata laga,ki sab karte thagi,
mera sach to usey kuch kadvaa laga,
per maine usey kabhi nahin thaga,
mera sach uskey dil ko choo jaata kaash,
agar mera haan paata to poori hoti uski haan ki talaash.


19/08/2010
2045hrs
from home.

1 comment:

ajay.lohan@gmail.com said...

this poem is also available in hindi(devnagri)...please visit blog poems in hindi