Wednesday, June 2, 2010

KAMI HOGI

Aasmaan ke paas sitaron ki kami hogi,
hoga gar soona jahan, nazaron ki kami hogi,

aaogi gar tum nazar to hoga kya nazara,
bujhte huye diyo ko fir kya ishaaron ki kami hogi?

oodti huyi patang par likha hoga naam tera ,
teri aasmaan aur baadlon se dosti hogi,

behta paani jaayega tham agar,
tumse he to fir dayaron mein nami hogi.

rehna yun he shaant tum, na karna shor kabhi,
vicharon mein rahogi tum chahe nazaron mein nahin hogi.

ateet ki potli saath rakhna,
shaayad rah mein tumhare, rahgeeron ki kami hogi.

YEH HAI MAYA

oodte se baadal ne...chalti hawa ne bhi...tera he aanchal dikhaya,
jab jab kaantein sahe pag mein...tujhko he dil mein paya.

ooncha sikhar... chahe kali dagar ...tu dena hathon mein haath,
pankh humare chahey kitna vichaarein...per oodna tu mere he sath.

aanand ki seema...aur sukh ka jharokha...chahey nahin tumne paaya,
per yeh hai bharosa ki hoga anokha...tumne jo sapna dikhaya.

sundar dagar pe...pathar jo barsein....
vichlit na ho...ye hai MAYA.

PATJHAD MEIN BHI SAYANI WO …..

sushkm thi pattiyan , aur patjhad tha,
patjhad mein bhi sayani wo ...

komal patte aur kathor thi shaakhein,
khilte phool ki kahani wo ...

aankh ka khulna phir bandh ho jaana,
chaand si shaant roohani wo...

komal hriday per sher ka panja,
aag lagey to paani wo...

ishq wo doondhe per mil naa paaye,
shaayar ki prem kahani wo ...

phool khile aur vasant bhi aaya,
samay bhi badla aur chaand bhi aaya,

per kal kal behta paani wo...
sushkm thi pattiyan , aur patjhad tha,

patjhad mein bhi sayani wo ...