Saturday, May 1, 2010

bullet badal gayi london mein

Aag lagi thi raavan mein, mujhe india ka ehsaas hua,
main bharat darshan karta hu, mujhko fir se yeh gyaat hua.

chalne ko to pair nahin, sannata sar mein chaaya hai,
jagmag karti is dashmi mein , ye kisne mann bharmaya hai.

sona jadhta ho paani sa, chahe jharne mein ag lage,
maanavta to ab parey gayi, meri bullet na daag lage.

santa banta to khoob sune, per max miller si baat kahan,
thanda hokar main jata hu, london si yahan per baat kahan.

yahan hawa nahin kahin A.C ki, kahin keechad ki bauchaar hui,
hawa lagaane chanchal mann, meri bullet chalo taiyaar hui.

hawa chali jo shimla ki, to utha yeh mere mann mein,
yun to main bharat mein hu, per meri bullet badal gayi london mein.