Monday, June 7, 2010

ELA ka MELA

Ela ek kahani do, mele ki anuchar thi wo,
Liye gubbare jaati wo, jyon umber mein lagta mela.

Hindi ka to gyan nahin, gujrati ki nahin seema,
baat to uski samajh main jaaun, bole jo zara sa dheema.

Chitrakar wo badi vichitra, jyon baayein hath ka khela,
Liye gubbare jaati wo, jyon umber mein lagta mela.

Aankhen matkati jeebh chidhati, shor machati jaati thi,
Kood faand kar jab thak jaaye, wapas ghar ko aati thi,

khava nu aap khava nu aap, zor zor chillati thi,
Jyon shan bhar ki bhi der hui, to sab idhar dhakela udhar dhakela,
Liye gubbare jaati wo, jyon umber mein lagta mela.

Shaam hui, hawa chali, wo mann hi mann muskaayi,
Hath badha maanjha keencha aur patang hawa lehraayi,

Udd na paayi jo koyi patang, to kheejh ke wapas aayi,
Raat hui thak kar wo haari, ab bistar kyun hai akela,

subah savere fir hoga shuru,ELA ka ek naya KHELA,
Liye gubbare jaati wo, jyon umber mein lagta mela.


Ela ek kahani do, mele ki anuchar thi wo,
Raat hui to so jao sab,
Subah hui to sone na degi wo.

Saturday, June 5, 2010

AANCHAL

Ek kushboo purani si mehki hui,
aaj waapis hai tumhare he AANCHAL se.

Oogta hua sooraj dikhta hai ab ,
Kirney bhi aati hain baadal se.

hai guzaarish waqt ki suiyon se meri,
rakhti rahein lamho ko hifazat se.

Ek kushboo purani si mehki hui,
aaj waapis hai tumhare he AANCHAL se.

Wednesday, June 2, 2010

KAMI HOGI

Aasmaan ke paas sitaron ki kami hogi,
hoga gar soona jahan, nazaron ki kami hogi,

aaogi gar tum nazar to hoga kya nazara,
bujhte huye diyo ko fir kya ishaaron ki kami hogi?

oodti huyi patang par likha hoga naam tera ,
teri aasmaan aur baadlon se dosti hogi,

behta paani jaayega tham agar,
tumse he to fir dayaron mein nami hogi.

rehna yun he shaant tum, na karna shor kabhi,
vicharon mein rahogi tum chahe nazaron mein nahin hogi.

ateet ki potli saath rakhna,
shaayad rah mein tumhare, rahgeeron ki kami hogi.

YEH HAI MAYA

oodte se baadal ne...chalti hawa ne bhi...tera he aanchal dikhaya,
jab jab kaantein sahe pag mein...tujhko he dil mein paya.

ooncha sikhar... chahe kali dagar ...tu dena hathon mein haath,
pankh humare chahey kitna vichaarein...per oodna tu mere he sath.

aanand ki seema...aur sukh ka jharokha...chahey nahin tumne paaya,
per yeh hai bharosa ki hoga anokha...tumne jo sapna dikhaya.

sundar dagar pe...pathar jo barsein....
vichlit na ho...ye hai MAYA.

PATJHAD MEIN BHI SAYANI WO …..

sushkm thi pattiyan , aur patjhad tha,
patjhad mein bhi sayani wo ...

komal patte aur kathor thi shaakhein,
khilte phool ki kahani wo ...

aankh ka khulna phir bandh ho jaana,
chaand si shaant roohani wo...

komal hriday per sher ka panja,
aag lagey to paani wo...

ishq wo doondhe per mil naa paaye,
shaayar ki prem kahani wo ...

phool khile aur vasant bhi aaya,
samay bhi badla aur chaand bhi aaya,

per kal kal behta paani wo...
sushkm thi pattiyan , aur patjhad tha,

patjhad mein bhi sayani wo ...