Monday, August 30, 2010

BAKRE KI MAAN...

KHAIR MANAYE, SAB BATIYAAYE, SHAAM SAVERE JAB SE,
SHAAM BEGAANI , KARE MANMAANI, AAG LAGAAYE TAB SE.

SATH SATH CHALTA MULA JI KE CHADH GAYA USEY FITOOR,
MAALIK BHI APNA, EID BHI APNI, CHAAKU TO FIR HAI DOOR,
GHAAS MEIN AGAR MADIRA MIL JAAYE TO SHAAM SUHANI HO,
SHAAM SURILI BHI HO JAAYE , JO EK KAHANI HO...

EK KAHANI, BADI PURANI, JO MANN MEIN THI CHAAYI,
UCHAL UCHAL AANGAN MEIN USNEY, DOOJO KO GAA KAR SUNAYI,
GARDAN(NECK) MERI TO BADI SAFE(SURAKSHIT) HAI,KHULA HAI MERA AKHADA,
JO CHAHE AA KAR LADD LO, MAALIK MERA KASAAYI,
MAAN NE DEKHA JAB DABANG KO, TO KAHAVAT YAAD DILAAYI,
BAKRA TO BAKRA BETA, BAKRE MAAN NE KAB TAK KHAIR MANAAYI...

SUNA NAHIN USNEY TAB KUCH, MANN MEIN THA AAG KA GOLA,
BAKR-EID AATE HE MAALIK SE UCHAL UCHAL KAR BOLA,
EID MUBARAK EID MUBARAK, SHAAN TUMHARI BADH JAAYE,
EK NAHIN DO-DO PADOS KE, BAKRE BALI PER CHADH JAAYEIN...

SHAAM HUI MEHFIL PARVAAN CHADI,
LOG BAHUT AUR BHEED BADHI,
BAKRA BHI KUSH THA AAJ BAHUT,
PADOS KI MEDH THI KHAALI,
ITNE MEIN EK MEHMAAN NE BADHA DI,
MEZBAAN KE HAATH MEIN THAALI...

KYUN MIYAAN, GHAR PE BULAYA AUR MATAN NA KHILAYA,
YE KAISA TYOHAAR?
MULLA JI BOLEIN ISSE PEHLE, BAKRE KO DEKH KIYA VICHAAR,
BAKRE NE SOCHA MAALIK ADBHUT, KARTA KITNA US SE PYAAR,
GARDAN AAGE KI, KI PYAAR MILEGA,
FIR CHALI EK TALWAAR,
AAH KA BHI KOI WAQT NAHIN TO CHEEKH KAHAN SE AAYEGI,
THEEK KEHTI THI USKI MAAN, MAT HANSO DOOJO PER,
AAKHIR BAKRE KI MAAN KAB TAK KHAIR MANAAYEGI...

05/10/2009
02:50 AM

1 comment:

ajay.lohan@gmail.com said...

ye ek bakre ki kahani hai...jo kasaayi ka paaltu tha....per kasaayi to kasaayi hota hai....